Hello doston aaj ke is article me mai apko batane wala hoon ki agar apke pass atm card nahi hai to aap kaise aadhaar card se apna upi pin bana sakte hai phonepe application ke dwara to chaliye fir shuru karte hain
Phonepe aadhaar upi pin kaise banaye ?
To doston ab tak aapko upi pin banane ke liye sirf Debit card ki jarurat padati thi or kai bar aisa bhi hota tha ki aapke paas debit card nahi tha jiske karan aap upi pin nahi bana pate the
To Doston agar aapke paas debit card nahi hai or aap bina debit card ke upi pin banana chahte hai to aapke liye bahut achhi khabar hai wo achhi khabar yah hai ki ab aap bina debit card ke upi pin bana sakte hai wah kaise bana sakte hai aapko is article me batai gai hai to aap is article ko last tak jarur padhen or sabhi doston ke paas article ko share kijiyega jinke pass debit card nahi hai or wah chahte hai upi registration karana to wah kar sakte hai
doston ab NPCI ke dwara ek naya feature live kiya gaya hai upi pin ke liye wah new suvidha yah hai ki ab aap apne aadhaar card se upi pin bana sakte hai
aadhaar card ke sath upi pin banane ki suvidha NPCI dwara live kiya gaya hai yadi aapke paas debit card nahi hai or aap bina debit card ke upi pin banana chahte hai to yah sambhav hai bas apke paas aadhaar card hona chahiye
Sabse pehele mai apko bata doon ki aadhaar card se upi pin banane ka feature abhi sir kuchh banko ne hi live kiya hai to sabse pehele aapko apana bank check karna hai ki apka bank us bank list me hai ki nahi jin banko me aadhaar card se upi pin banane ka feature agaya hai
aapko apna bank check karne kiye google pe search kar lena hai aadhaar upi new bank list ya fir aap isi website par search kar sakte hai aadhaar upi new bank list maine banko ke list already de diya hai article me
To chaliye fir jaan lete hai ki kis kis app me ye feature live ho chuka hai sabse pehele mai aapko bata doon ki BHIM app me ye feature aya tha ki aap apne aadhaar card se upi pin bana sakte hai ab phonepe paytm ne bhi ye suvidha chalu kar diya hai
To agar aap apne aadhaar card se upi pin banana chate hai to aaj mai apko phonepe ke dwara batane wala hoon ki kaise aap apne aadhaar card se upi pin bana sakte hai
kyunki BHIM, app se maine already apko bata diya hai chahe to aap post search karke dekh sakte hai agar aapko bhim app ke dwara banana hai to
To chaliye fir mai aapko step by step bata deta hoon ki kaise aap phonepe application ke dwara bina atm card ke apna upi pin bana sakte hai
PHONEPE SE AADHAAR CARD SE UPI PIN KAISE BANAYE
* Aadhaar card se UPI REGISTRATION karne ke liye sabse pehle aapko Phonepe application Download karna padega niche diye gaye link se bhi download kar sakte hai
* Jab phonepe application download ho jaye to apko use open karna hai or apne mobile number se verify kar lena hai uske baad apke samne phonepe ka home screen ajayega jaise ki aapko niche image me dikhai de raha hai
* uske baad aapko apna bank jodna hoga sabse pehele uske bad hi aap apna bhim upi pin bana sakte hai phonepe application ke dwara to bank add karne ke liye sabse pehele aapko uper apne profile wale icon pe click karna hoga jaise ki aapko niche image me dikhai de raha hai
* uske baad jab aap apne profile wale icon pe click kar denge to apke samne bank add karne ka option ajayega likha hoga ADD BANK ACCOUNT to apko sabse pehele apna bank account add kar lena hai bank add karne ke liye apko view all payment method pe click karna hai or apana bank add kar lena hai uske baad apko jis bank ka upi pin banana hai aadhaar card se apko us bank pe click karna hai jaise ki apko niche image me dikhai de rah hai
*Jaise hi aap view all payment method wale option pe click karenge to aapne jitna bhi bank account add kiya hoga ek sath sare show honge to aapko jis bank ka upi pin banana hai aapko us bank pe click karna hai jaise ki apko niche image me dikhai de rah hai
* uske baad apke samne apke bank ka details ajayega or niche apko do option dekhne ko milenge CHANGE UPI PIN /RESET UPI PIN /SET UPI PIN To aapko set/reset wale option pe click karna hai jaise ki apko niche image me dikhai de rah hai
* Jab aap set /reset option pe click kar denge to apke samne fir se do option ajaynge ek aadhaar card se upi pin kaise banaye or dusra debit atm card se upi pin kaise banaye to aapko aadhaar card se upi pin banana hai to aap aadhaar card wale option pe click karenge jaise ki aapko niche image me dikhai de rah hai
* Jaise hi aap aadhaar number linked with bank wale option pe click karenge to aapke samne apka aadhaar card ka starting ke 6 number dalne ke liye kaha jayega .lakin usse pehele ek baat or dhyan dena hai ki apka aadhaar apke bank se link hona chahiye uske baad aapko apne aadhaar card starting ka 6 number daal dena hai jaise ki aapko niche image me dikhai de rah hai
* uske baad aapko submit kar dena hai jaise hi aap submit karenge to aapke aadhaar ke taraf se apke aadhaar link mobile number pe ek OTP ayega jo ki apne aap fill ho jayega uske baad apko right wale option pe click kar dena hai jaise hi aap right wale option pe click karenge to apko dusra ek OTP ayega jo ki apke bank ke taraf se hoga apko usko bhi fill karke submit kar dena hai or niche right wale option pe click kar dena hai
*Jaise hi aap right wale otpion pe click karenge to apke samne new upi pin enter karne ke liye Option ajayega apko apna ek new upi pin enter kar dena hai or niche right wale option pe click kar dena hai
*Uske baad apko dubara se confirm karne ke liye bolega to aapko dubara se wahi upi pin enter kar dena hai or niche right wale option pe click kar dena hai uske bad bas aapka upi pin ban gaya ab aap upi payment kar payenge or upi application ka labh utha payenge
To doston is tarah se aap apne aadhaar card ke madad se phonepe application ke dwara bhim upi bana sakte hai fir bhi agar aapko kisi bhi tarah ka koi problem aati hai to aap comments karke poochh sakte hai hum aapki jarur madad karenge .
@phonepeadharupi