Followers

Phonepe bhim upi pin kaise banaye | how to create phonepe upi pin 2023

 Hello doston kaise hai aap log to aaj ke is article me mai apko batane wala hoon ki agar aap bhi phonepe app ka istemal karte hai or apko phonepe application me upi pin banana hai to aap is article ko last tak jarur padhen mai apko bataounga ki aap phonpe me upi pin kaise bana sakte hai to chaliye shuru karte hai


* Phonepe upi pin kaise banaye

Phonepe or Bhim Upi 

Doston humare yahan jitni bhi upi based payment application hai Chahe phonepe ho ya google pay ho ya paytm ho ya amazone pay ho sabhi BHIM ( BHARAT INTERFACE FOR MONEY) UPI (UNIFIED PAYMENT INTERFACE) Platform ka istemal karti hai isliye jab aap kisi ek application ke madhayam se upi pin reset ya change karte hai to sabhi application ke madhaym se upi pin reset ya change karte hai sabhi application me upi pin change ho jata hai

Upi pin reset and change

Upi pin reset karna or change karna dono hi alag alag baatein hain or alag alag alag prakriya ke dwara inhe badla ya reset kiya jata hai. upi pin reset karne ke liye apko apke sambandhit bank account ke atm or bank dwara bheje gaye OTP ki jarurat hoti hai gernaly upi pin tab reset kiya jata hai jab aap apna purana upi pin bhool jaate hai aap naye sire se apna upi pin bana sakte hai 

lakin jab apko apka upi pin yaad hota hai or aap surakhsa ki drasti se purana upi pin badlana chahte hai tab change upi pin Option ka prayog karten hai isme aapko apke ATM ki jarurat nahi hoti hai bas aapko apka purana upi pin yaad hona chahiye .

Phone pe upi pin kaise banayen

1 . phonepe upi pin set/reset karne ke liye phonepe application ko Open karen ab home page me uper aapko apki profile photo wale Option pe click karna hai jo ki left side me sabse uper corner pe dikh raha hai.

 


 
2 . Uske baad aapko uper ke side me slide karna hai or View all payment method wale option pe click karna hai jaise ki aapko niche image me dikhai de rah hai 


 

 3. Uske baad apke samne aapne jitne bhi bank account add kiye honge sare show kar jayenge or uske baad aapko kya karna jis bhi bank ka aap upi pin set/reset karna chahte hai us bank pe aapko click karna hai jaise ki aapko niche image me dikhai de raha hai 


4 . Uske baad jaise hi aap us bank pe click karenge to aapke samne aapke bank ka details ajayega or usi ke sath apko niche dikhai dega CHANGE BHIM UPI PIN AND RESET BHIM UPI PIN Jaise ki apko maine upper bata diya tha dono me kya diffrence hai to umeed hai ki aap samajh hi gaye honge to agar aap upi pin set/reset karna chahte hai to aapko reset/set upi pin wale Option pe click karna padega jaise ki aap ko niche image me dikhai de rah hai 


5 . jaise hi aap set/reset wale Option pe click karenge to aapke samne 2 Option dikhai denge ek (aadhaar number linked with bank) or dusra (debit/atm card ) thoda sa jankari or dedu ki ab phonepe application me aadhaar card bhi upi pin banane ka option agaya hai jin account holder ke paas atm card nahi hai ab wo bhi aadhaar card ke madad se apna upi pin bana sakte hai agar apko aadhaar upi ke bare me jannan hai ki kaise aadhaar card se upi pin banana hota hai to aap comment me likhe fil hal aaj mai aapko debit/atm card ke dawra bata raha hoon ki aap apna upi pin kaise bana sakte hai to aapko 2nd number pe jo debit/atm card ka jo option hai usi pe click karna hai jaise ki aapko niche image me dikhai de rah hai


6. uske baad jaise hi aap Debit/atm card wale option pe click karenge to aapke samne aapke bank ka naame ajayega or likha hoga please enter last 6/4 digits of your card number or niche likha hoga valid up to yaani apko apne atm card ka last 6 digit or apke atm ka expiary date dalna hai jaise ki apko niche image me dikhai de rah hai 


7. jaise ki maine aapko pehele hi bataya tha ki bhim upi pin set/reset karne ke liye atm ki jarurat hogi aap yahan par aap apne atm card ke last ke 6 number yahan par enter karege or apne atm ki expairy date enter karenge or agar aapke atm card me validity nahi likha hai to aap 01/49 enter kar sakte hai or continue wale option pe click kar dena hai ab aapke bank me jo mobile number register hai us number pe aapkoek OTP aayega OR Apko otp verify kar lena hai verify karte hi aapke samne bhim upi pin reset/set karne ko aayega aapko new upi pin set kar lena hai uske baad aapka kaam ho gaya ab aap upi ki sewaon ka laabh utha payenge 

To doston is tarah se aap apana bhim upi pin set/reset kar sakte hai fir bhi agar aapko kisi prakar ki problrm aari hai to humen comment karke jaurur batayen hum hum aapki madad karenge 

 

एक टिप्पणी भेजें

और नया पुराने